Thursday, March 11, 2010

Islamic SMS Text Messages / Quotes / Greetings / Wishes / Sayings / Prayers

Hazrat Ali Raziallahu Anhu says,

"kisi bhi shakhs se narazgi ka lamha itna taweel mat
karo k woh tumharay beghair hi jeena seekh lay"

-------------------------------

"When a woman stays in home and
remains busy in doing household
responsibilities and take good
care of her children then she
is closest to Allah."

BIBI FATIMA (R.A)

--------------------------------

Aik Dosray Ko Aib Na Lgao Or Na
Aik Dosray Ka Bura Naam Rakho.

Al-Quran 49:11

---------------------------------

Wo Shaks kese Takabbur Kar Sakta Hai,
Jo Mitti Se Bana He,
Mitti Me Milne Wala He Or Mitti Me Keere
Makore Ki Giza Ban'ne Wala He.

(HAZRAT ABU'BAKAR)

-----------------------------------

Imam Jaffer-E-Sadiq A.S Farmatay Hain K
Dua Ka Tareeqa Yeh Hai K

"Pehlay KHUDA Ki Humd O Tareef Karo
Phir Gunaahon Ka Iqrar Karo
Aur Phir Apni Hajat Talab Karo"

-------------------------------------

"Hasbi Allah"
is an Arabic word

Means:

"Mujhay Allah kafi hai"

Whenever u feel u are in trouble,
or feel lonely,
or have some problem,
just say
"HASBI ALLAH"

------------------------------------

Aik buzurg se kisi ne sawal kia
K agar hmaray naseeb me pehlay se hi
sab likh dia gya hai to phir dua kiun
kren?
Buzurg ne farmaya k "Ho sakta hai teray
parwardigaar ne yehi teray naseeb me likh
dia ho k mango gay to milay ga warna nhi."

-------------------------------------

Hazrat Muhammad(S.A.W.) ne farmaya
"Jis ne apni maa k paon ko chuma us
ne KAABA ki dehleez ko chuma"

--------------------------------------

Kisi ne Hazrat Ali(R.A.) se pucha
"Ajeeb baat hai ALLAH
Nabi (S.A.W.) ko mehboob kehta hai
magar kalme mein pehle apna naam rakhta hai,
bad me Nabi (S.A.W.) ka naam rakhta hai,
ye ISHq k khilaf  hai!
Hazrat Ali(R.A.) ne farmaya:
"Yehi to haqeeqi ISHQ hai,
Allah pasand karta hai k Uska naam lekar
pehlay zubaan paak ki jaye or phr paak
zubaan se us k mehboob ka naam lia jaye."

---------------------------------------

        *~*DUA*~*

Ay Allah,
Mujhay wo taaqat na de...
Jis se me dusron ko kamzor karun.
Wo dolat na de...
Jis ki khatir me logon ko gharib samjhun.
Wo ILM na de...
Jissay mein apne seenay mein chupa kar rakhun.
Wo dil na de...
Jis mein dusron k lie dard na ho.
(AAMEEN)

-----------------------------------------

Hamare pyare Rasool Hazrat MUHAMMAD (S.A.W.) 21/April/571 Esvi
12/Rabi-ul-Awal peer ko suba4:45 Makkah mein peda hue
Aap (S.A.W.) ki total zindagi 22330 din(63 saal , 4 din)
Aap (S.A.W.) ki risaalat ka arsa 8156 din (23 saal) tha...

------------------------------------------

Night Tips

* Wazu kar k soya karo
* bistar jhar kar soya karo
* dahni karwat par soya karo
* Sone ki dua parh kar soya karo
ALLAH HUMMA BISMIKA AMOOTU WA AHYAA
* apne gunahon ki maafi or sab ko maaf
kar k soya karo

-------------------------------------------

"Logo ko itni jaldi muaf kar dia karo
jitni jaldi tum ALLAH se muafi ki umeed
rakhte ho"

Hazrat Umar Farooq (R.A.)

-------------------------------------------

BABA BULLAY SHAH ne Farmaya :

*us se dosti na karo jisay khud per gharoor ho.
*Maa,Baap ko bura mat mano chahay lakh in ka kasoor ho.
*Buray raste per mat chalo chahay kitni bhi manzil dur ho.
*Raah chalte ko dil mat do chahay lakh moun per noor ho.
*Pyaar ki baat wahan karo,Jahan pyaar nibhanay ka dastoor ho.

---------------------------------------------

"Log Tung-dasti Se
Jitna Dartey Hain
Agr DOZAKH Se Dare'n
Tou Dono' Se Bach
Jaye'n
Maal Se Jitni Mohabbat
Krty Hain Agr Jannat Se
Kare'n Tou Dono' Pa Le'n"

Imam Ghazali

----------------------------------------------

Agar Tum Muhammad (S.A.W) Ki Ummat Sey Ho
Tou
Apnay Kirdaar Ko Itna Buland Karo
K
Doosray Log Dekh Kar Kahain
Agar Ummat Aisi Hai Tu Socho Nabi Kaisa Hoga.!

-----------------------------------------------

Hazrat Ali [R.A] Ka Farman Hai K

"Kisi ko Saza Dene Main Der Karo Yahan Tak K
Tumhara Ghussa Thanda Ho Jaye..."

----------------------------------------------

"ALLAH Wo hai Jisne tumhare liye saakin zameen banai,

Aur aasmaan ko chhat banaya,

Aur tumhari achhi achhi sooratien bana-een,

Aur paak cheezon se tumhain rizq ata kiya,

Wo Allah tumhara Rubb hai,

Aur tamam barkatein ALLAH k liye hein Jo tamam jahanon ka Rubb hai.

(Al-Mo'min; 64)

-----------------------------------------------

Hadees-e-Nabwi (S.A.W.)

"Musalmano Ko Jo
Runj, Dukh, Fikar,
Gham, Takleef Aur
Pareshaani Pesh Aati
Hy, Hatta k Ek Kaanta
b Us k Chubhta Hai Tou
ALLAH Isey Is ki Kisi Na
Kisi Khata Ka Kafara
Bana Deta Hai"

----------------------------------------------

"Aqal mand apnay aap ko pust kar k bulandi hasil karta hai

OR

Nadaan apnay aap ko barha kar zillat uthata hai"

----------------------------------------------

*ALLAH De Kar Bhi Azmata Hai or Le Kar Bhi Azmata Hai.

*Gareeb Admi Roti Hasil Krne K Liye Dorta Hai Ameer Roti Hazam Krne K Lye Dorta Hai.

*Gunah Me Lazat Zrur Hai Magar Sukon Nhi.

*Baat Alfaz Ki Nhi Lehje Ki Hoti Hai.

*Kisi K Baare Me Bura Mat Socho Ho Sakta Hai Wo Khuda Ki Nazar Me Tumse Behtar Ho...!!!

-------------------------------------------------

"Jis ko ye pasand ho k
Shetan is k saath
khaney main, soney main
raat guzarney main
shareek na ho, usay
chahiye jab ghar main
dakhil ho tou SALAM
kary aur khaney par
BISMILLAH kahey ..."

(AL-Hadees)

--------------------------------

"Agar tumhare achay amal se tera dil mut'main ho or buray amal se be'chain ho jaye
tou tu momin hai."

---------------------------------

Apne Musalman bhai k lie wohi pasan karo
jo apne lie pasan karte ho.

----------------------------------

Mazloom ki baddua se bacho
kiun k
Mazloom ki baddua or Allah k
darmyan koi pardah nhi.

-----------------------------------

Muaf kar dene me ghalati karna
saza dene me ghalati karne se behtar hai.

------------------------------------

Ghusay mein logon kay darmyan faisla mat karo.

------------------------------------

Jo Allah k samne jhukta hai wo kisi or k samne nhi jhukta.

-------------------------------------

Namaz parho

is say pehlay k tumhari namaz parhi jaye.

--------------------------------------

"ISLAM" stands for:

I
Shall
Love
Always
Muhammad (S.A.W)

---------------------------------------

No comments:

Post a Comment